Wednesday, June 9, 2010

Tujhe Ab Kis Liye Shikwa Hai

Tujhe ab kis liye shikwa hai, bachchay ghar nahin rehtay? .......... Jo pattay zard ho jaaein wo shaakhon par nahin rehtay *** Tu kiun be-dakhl karta hai makeenon ko makaanon se .......... Wo dehshat-gard ban jaatay hain jin kay ghar nahin rehtay *** jhuka de ga teri gardan ko ye khairaat ka pathar .......... Jahan mein maangnay waalon kay oonchay sar nahin rehtay *** yaqinan ye ri'aaya badshah ko qatl kr de gi .......... musalsal jabr se Mohsin dilon mein dar nahin rehtay
(From Akram Jaleel, Khanewal)

No comments:

Post a Comment